kaash
Kaash khwaisho k aasma itne unche na hote
To dil k armaa kbhi toote na hote.
Kaash mausamo ki bahaar kbhi aayi na hti,
To patjhado ki bhi kbhi parchai na hti.
Kaash zindagi se kisiko itna pyaar na hta,
To maut se har koi bekarar na hta.
Kaash suraj ki aag mein itni garmi na hti,
To chaand ki shitalta mein koi kami na hti.
Kaash rishto mein itni gehraai na hti,
To akelepan se kbhi ruswaai na hti.
Kaash dil mein pyaar k ehsaas na the,
To hmare liye aap itne khaas na the.